Subscribe

RSS Feed (xml)

Powered By

Powered by Blogger

Wednesday, March 18, 2009

Tum Agar Yuhi Nazren: NFAK

Tum Agar youn hi nazrain milatey rahe maein-kashi mere ghar se kahan jayegi
Aur ye sil-sla must-kil ho to phir, be-khudi mere ghar se kahan jayegi

Ek zamane ke bad aayi he sham-e-gham, sham-e-gham mere ghar se kahan jayegi
Meri kismat main he jo tumhari kami, woh kami merey ghar se kahan jayegi

Shamah ki ab mujhey kuch zarurat nahin, nam ko bhi shab-e-ghum main zulmat nahi
Mera har dagh-e-dil kam nahi chand se, chandni mere ghar se kahan jayegi

Tu ne jo ghum deye woh khushi se leye, tugh ko dekha naheen phir bhee sajday keye
itna mazboot hai jab aqeeda mera, bandagee merey ghar se kahan jayegi

Zaraf wala koi samney aaye to, main bhi dekhoon zara eis ko apnaye to
Meri hamraz ye eis ka humraz main, be-kasi mere ghar se kahan jayegi

Jo koi bhi teri rah main mar gaya, apni hasti ko woh javaan kar gaya
Main shaheed-e-wafa ho gaya hoon to kya, zindagi mere ghar se kahan jayegi

Song Link Part 1!!



Song Link Part 2!!